Kahin Kuch Bhi Nhi Badla
Kahin Kuch Bhi Nhi BadlaNaya Ye Shehar Hay Lekin
Akyle Pan Ke Veshat Nay Yahan Bhi Ghair Rakha Hay
Wohi Uljahn Prysahni Jo Pehlay Thi So Ab Bhi Hay
Wohi Din Hain Wohi Raatian
Wohi Hum Hain Wohi Maatian..
Yahan Bhi Soo Balain Hain Jigar Ka Khoon Peeno Ko,
Yahan Bhi Dam Nekalta Hay
Faqat Ek Saans Jeeny Ko
Yahan Bhi Saamp Ban Kar Rasti Mein Roog Palty Hain
Yahan Bhi Arzoo K Naam Per Bus Soog Palty Hain
Yahan Bhi Bey Sakooni Hay
Yahan Bhi Ghar Nhi Apna
Yahan Bhi Bey Zameeni Hay
Kahin Kuch Bhi Nhi Badla
Kahin Kuch Bhi Nhi Badla
Yahan Bhi Qoohar Mein Lepti Hoe Raatoo Ki Sardi Hay
Yahn Bhi Mashgla Apna Wohi Awara Gardi Hay !
Yahn Bhi Ungeenat Asbab Hain Needain Uraanay Ko
Yahn Bhi Khob Soorat Loog Hain Dil K Chorany Ko
Zara Ek Faraq Se Parioon Ka Koe Daais Hay Ye Bhi
Tumhary Shair Jaisa Hay Magar Perdais Hay Ye Bhi
Wohi Sab Hay Wohi Sab Hay
Jo Pechaly Shehar Main Hum Choar Aay Hain
Wohi Uljahn Prayshani Jo Phaly Thi So Ab Bhi Hay
Kahin Kuch Be Nhi Badla
Kahin Kuch Be Nhi Badla
Kahin Kuch Bhi Nhi Badla
Poet : Abrar Nadeem
No comments:
Post a Comment